

aashuub-e-aagahii
koii batlaaye mujhe
mere in jaagte KhwaaboN ka muqaddar kya hai?
maiN k har shai kii baqa jaanta huuN
uRte lamhoN ka pata jaanta huuN
sard aur zard sitaaroN kii taga pu kya hai
rang kya chiiz hai, Khushbu kya hai
subah ka saher hai kya, raat ka jaadu kya hai
aur kya chiiz hai aawaz-e-saba jantaa huuN
ret or naqsh-e-qadam, mauj ka ram
aankh aur goshaa-e-lab, zulf ka Kham
shaam or subah ka gham
sab kii qismat hai fana, jaanta huuN
phir bhi yeh Khwaab mire saath lage rehte haiN
jaagte Khwaab k jin ki koii taabiir nahiiN
koii tafsiir nahiiN
suurat-e-zaKhm hare rehte haiN
mere haathoN se pare rehte haiN
aagahi juhal se bad tar Thhehri
jaagte Khwaab ki taabiir muqaddar Thhehri
zindagi mere liye gumbad-e-bedar Thhehri
maiN k aawaaz-e-saba jantaa huuN
uRte lamhoN ka pata jaanta huuN
aur har shai kii baqa jaanta huuN!

