logo
divider
قلمhome
قلمNext
قلمback
قلمIndex

Ghazal

kartaa huuN jamaa maiN to bikhartii hai zaat aur
baaqii hai kitnii ai mirre maulaa yeh raat aur

leti hai jalti shamaa bhii bujhne meN kuChh to vaqt
hai aadmii saa koii kahaaN be-cabaat aur

sailaab jaise letaa hai diivaar ke qadam
kartaa hai gham bhii dil se koii vaardaat aur

yuuN to huzuur-e-pak(saw) k laakhoN heN madaKhwaaN
Taa’ib sii likh rahaa hai magar kaun na’at aur

mazhar azl ke husn ke Amjad haiN be-shumaar
lekin jo dekhiye to hai baarish kii baat aur

divider
copyright©amjadislamamjad.net2008
design_sig